Wednesday, December 1, 2010

Jo Shaks.............

Jo Shaks Yom-e-Aashora Asmad Surma aankhon mein laga'ay tu us ki aankhain kabhi na dukhain gi. (Sha'ab-ul-Eman, Jild-3, Page-367)




Sarkar-e-Madina Salallaho Ta'ala Alehi Wassalam ka Farman hai: "Jis kay Dil mein Raayi kay daanay kay barabar Takabur hoga wo Bihisht mein nahi jay'ay ga". (Kimya-e-Sa'aadat Page-587)




Aur aay Mehboob jab tum say meray banday mujhay pochain tu mein nazdeek hon Dua Qabool kerta hon pukaarnay walay ki jab mujhay pukaray P2, Al-Baqara, 186




"Hazrat Younis Bin Ubaid (Radi Allaho Ta'ala Anho) Farmatay hain kay Jis ki ZABAN aik thikanay par rehti hai us kay sub kaam theek rehtay hain" (FaizaneSunnat page-694)




Jo Shaks raat kay aakhri hissay mein uth ker Surah-e-Bakarah aur Aal-Imran parhay tu Allah Azawajal usay kabhi ruswa na karay ga. (Tibrani, page-480)




"Jis nay Farz Namaz kay Baad Aayat-ul-Kursi parhi wo banda agli namaz tak Allah Azawajal kay zimay karam par hai" (Majma'al-Zawa'id, jild10, page-128)



Sarkar-e-Madinah Salallaho Ta'ala Alehi Wassalam ka Farman: Jis Nay Kitab mein mujh par Durood Pak Likha tu Jab tak Mera naam us mein rahay ga Faristay us kay lye Astag Sarkar-e-Madinah Salallaho Ta'ala Alehi Wassalam ka Farman: Jis Nay Kitab mein mujh par Durood Pak Likha tu Jab tak Mera naam us mein rahay ga Faristay us kay lye Astagfar kartay hain. (Sa'adat-ud-Darain)far kartay hain. (Sa'adat-ud-Darain)

No comments:

Post a Comment